Friday 6 March 2015

آنکھوں کی خوبصورتی کیلئے چند ورزشیں



آنکھوں کی صحت اور تندرستی کیلئے ذیل میں دی گئی ورزشوں سے فوائد حاصل کریں اور اپنی آنکھوں کو خوبصورت بنائیں ۔

1-Agar aankh be rung ho jayein to in mein chamak baqi na rahe to khira aap ki behtareen madad kar skta hai. Khire kay patle patle piece kaat kar aankhon par 5 se 10 minute tak rakhein thori der baad in qtlon ko hata kar sada pani se dho lein.

2-Papaya ka har roz istemaal aankhon ko saaf aur chamak dar rakhta hai.

3-Subah kay waqt arq e gulab kay chinte aankhon par marna buhat mufeed hai is se aankhein khoobsurat ho jati hai.


4-Khalis shehad aankhon mein lagane se aankhon mein chamak aajati hai aur nazar bhi tez hoti hai. 


5-Tirphla kay pani se aankhon ko dhone se binayi barhti hai.


6-Gajar ka juice aankhon kay liye buhat mufeed hai.


7-Chandi ki taraf tiktiki laga kar dekhne se aankhon ko buhat faidah puhanchta hai.


8-Pani ubal (boil) kar thanda kar lein phir is mein namak daal kar kisi shishe ki botal mein rakh lein rozana is pani se aankhein dhoyein. 


9-Aankhon ka warm door karne kay liye aaloo ko chile huye tukre aankhon par rakhne se buhat sakoon milta hai.


10-Sabzah aur haryali aankhon kay liye buhat mufeed hai shabnam kay qtre aankhon kay oper lagane se thandak mehsoos hoti hai.


11-Neem garam doodh mein cotton bhigo bhigo kar chand minute aankhon par rakhein aur phir tazah pani se chinte marein, aankhon mein qudrati chamak aur khoobsurti aajaye gi.


12-Vitamine A ka istemaal aankhon kay liye buhat mufeed hai.


13-Aankhon mein khoobsurti kay liye aap eye pencil bhi istemaal kar skti hain, is se eye brow banayi jati hain aur yeh black kay elawa brown rung mein dsteyab hain.


14-Eye shedow bhi aankhon ki khoobsoorti ko barhata hai, yeh mukhtalif shedow mein milta hai aur yeh cream kay sath sath powder mein bhi dsteyab hai lekin cream ki nisbat powder ziadah behtar hai kiun keh brush ki madad se powder eye shedow aasani se lagane kay baad ise cotton ya tissue paper se saaf kia ja skta hai eye shedow hameshah lebas kay rung ko mad e nazar rakhte huye lagana chahiye.


15-Eye lieces black aur brown rung mein milta hai ise eye sheds lagane se pehle aur mascara lagane kay baad lagaya jata hai, yeh palkon kay qareeb papoton mein aur palkon kay niche bhi istemaal hota hai.


No comments:

Post a Comment